Comics Fest India 2013 mey Aryan ji as an artist aaye aur ek hi din mey 2 din ka kaam niptaya aur regular acts karte gaye....phir inhe baaki committments ki wajah se jaana pada..inki khaasiyat hai ki beech mey ek bhi dull moment nahi raha. Kuch moments aese the ki Aryan ji scene itne passion-intensity se kar rahe the ki mai bhauchaka reh gaya ki koi itni intensity se kaise laa sakta hai scene mey. (Is wajah se aksar dialogues, cue bhi miss kiye par har baar Aryan ji ne mujhe, Prahlad aur Akshay ki galtiyan cover ki). Imagery bhi varied hai jis wajah se Akshay Rana, mujhe aur Prahlad Dubey ko inhone seemit samay mey train kiya. Convincingly kaam karte hai....Humara last act jo emotional theme par tha tha usme ye stage par ek physically challenged vyakti ka kirdaar nibha rahe the aur event par mile ek seh artist Amitabh Mishra ji k fake dhakke se itne convincingly gire ki mai inhe dekhta hi reh gaya...mujhe laga ki aese ye 1-2 baar aur gire to inka kandha ya koi joint dislocate na ho jaaye. Wo act Sanjay Singh ladki bane isliye wo serious act thoda comic ho gaya but message convey hua. :)
Pehle act k dauraan hi log pagal ho gaye the aur baar baar team members aur Aryan ji se puchh rahe the ki ab agla kab hoga...yahi wajah thi ki Sanjay Gupta ji aur RC Management ne baar-baar event k dauraan aur apne official pages par inka aabhar vyakt kiya aur Aryan ji 'CFI 2013 - Entertainer of the Evening' bhi bane.
Achchha ek ye bahut ready artist hai, on stage-off stage situation (yahan off stage shabd par zor hai) k hisaab se adapt kar kaise show behtar jaaye ye hamesha koshish rehti hai. Inke mind k database mey kai inke soche-likhe original, aur popular acts se inspired acts hai aur inhe pata hai ki kis tarah k audience ko kya pesh karna hai. Jaise event ki prepration k dauraan kai acts sahi nahi lage to turant inke paas uska alternative tha. Notebook for ideas-script, dresses, kits...inhe inke 2 bags k saath Sahara desert mey bhi dhakka de do to wahan bhi ye kuch jugaad kar acts kar denge. Nagraj Janmotsav 2012 se ab CFI 2013 tak inhone achchha khasa wazan kum kiya jo last year event attend karne waalo se compliments nikalte rahe...exact number Aryan ji hi batayen...
Logo ko observe achchha karte hai par profession aesa hai ki kabhi kisi ki buraai nahi nikalti inke muh se (wo to sapne mey kisi ko kuch suna rahe the gusse mey aur by chance mai jaga hua tha to sun liya). *kidding*
Event se pehle kaafi kuch expect kar rahe the Aryan ji mujhse par kuch wajahon se mai ummeed se kum inputs aur sahyog de paya...jo Aryan ji ko pata hai, jinke liye mai maafi maangta hun inse. Mere liye CFI ka anubhav better ho gaya inki wajah se. Meri shubhkaamnayen inke saath hai! :)
No comments:
Post a Comment